Thursday, September 8, 2011

KABHI KISI KO MUKAMMAL JAHAAN NAHI MILTA...

Some feelings are universal, and hence, the borrowed words...


kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta,
kahin zameen to kahin aasmaa nahi milta.

tamaam shahar mein aisa nahi k khuloos na ho,
jahaan ummeed ho iski wahaan nahi milta.

kahaan chiraag jalayein, kahaan gulaab rakhein,
chhatein to milti hain lekin makaan nahi milta.

yeh kya ajab hai sab apne aap mein gum hain,
zubaan mili hai magar hamzubaan nahi milta.

chiraag jale hi bina bujhne lagta hai,
khud apne ghar mein hi ghar ka nishaan nahi milta. 

kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta,
kahin zameen to kahin aasmaa nahi milta.
 
**********************************************************

Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha;

Ek hum akele they, kaafila bhi uska tha;
 
Saath saath chalne ki soch bhi uski thi, 

Phir raasta badalne ka faisla bhi uska tha.
 
Aaj kyon akele hain, Dil sawaal karta hai...;
 
Log to uske they, kya Khudaa bhi uska tha?

 




No comments: